Wo Nazar Aaina-fitrat Hi Sahi
wo nazar aaina-fitrat hi sahi
mujhe hairat hai to hairat hi sahi
zindagi dagh-e-mohabbat hi sahi
aap se dur ki nisbat hi sahi
tum na chaho to nahin kaT sakti
ek lamhe ki masafat hi sahi
dil mohabbat ki ada chahta hai
ek aansu dam-e-ruKHsat hi sahi
aab-e-haiwan bhi nahin mujh pe haram
zahr ki mujh ko zarurat hi sahi
apni taqdir mein sannaTa hai
ek hangame ki hasrat hi sahi
is qadar shor-e-tarab kya mani
jagne ki mujhe aadat hi sahi
bazm-e-rindan se talluq kaisa
aap ki mez pe sharbat hi sahi
hadd-e-manzil hai muqarrar 'baqi'
rahraw-e-shauq ko ujlat hi sahi
(734) Peoples Rate This