Wo Maqam-e-dil-o-jaan Kya Hoga
wo maqam-e-dil-o-jaan kya hoga
tu jahan aaKHiri parda hoga
manzilen rasta ban jati hain
DhunDne walon ne dekha hoga
sae mein baiThe hue sochte hain
kaun is dhup mein chalta hoga
teri har baat pe chup rahte hain
hum sa patthar bhi koi kya hoga
abhi dil par hain jahan ki nazren
aaina aur bhi dhundla hoga
raaz-e-sar-basta hai mahfil teri
jo samajh lega wo tanha hoga
is tarah qat-e-talluq na karo
is tarah aur bhi charcha hoga
baad muddat ke chale diwane
kya tere shahr ka naqsha hoga
sab ka munh takte hain yun hum jaise
koi to baat samajhta hoga
phul ye soch ke khil uThte hain
koi to dida-e-bina hoga
KHud se hum dur nikal aae hain
tere milne se bhi ab kya hoga
hum tera rasta takte honge
aur tu samne baiTha hoga
KHud ko yaad aane lage hum 'baqi'
phir kisi baat pe jhagDa hoga
(662) Peoples Rate This