Un Ka Ya Apna Tamasha Dekho
un ka ya apna tamasha dekho
jo dikhata hai zamana dekho
waqt ke pas hain kuchh taswiren
koi Duba hai ki ubhra dekho
rang sahil ka nikhar aaega
do ghaDi jaanib-e-dariya dekho
tilmila uTTha ghana sannaTa
phir koi nind se chaunka dekho
ham-safar ghair hue jate hain
fasla rah gaya kitna dekho
barf ho jata hai sadiyon ka lahu
ek Thahra hua lamha dekho
rang uDte hain tabassum ki tarah
aaina-KHanon ka dawa dekho
dil ki bigDi hui surat hai yahan
ab koi aur KHaraba dekho
ya kisi parde mein gum ho jao
ya uTha kar koi parda dekho
dosti KHun-e-jigar chahti hai
kaam mushkil hai to rasta dekho
sada kaghaz ki tarah dil chup hai
hasil-e-rang-e-tamanna dekho
yahi taskin ki surat hai to phir
chaar din gham ko bhi apna dekho
gham-gusaron ka sahaara kab tak
KHud pe bhi kar ke bharosa dekho
apni niyat pe na jao 'baqi'
ruKH zamane ki hawa ka dekho
(765) Peoples Rate This