Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_4d5f1b59de0792ae465bc25a706fadf6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tum Kab The Qarib Itne Main Kab Dur Raha Hun - Baqi Siddiqui Poetry In English - Darsaal

Tum Kab The Qarib Itne Main Kab Dur Raha Hun

tum kab the qarib itne main kab dur raha hun

chhoDo na karo baat ki main tum se KHafa hun

rahne do ki ab tum bhi mujhe paDh na sakoge

barsat mein kaghaz ki tarah bhig gaya hun

sau bar girah de ke kisi aas ne joDa

sau bar main dhage ki tarah TuT chuka hun

jaega jahan tu meri aawaz sunega

main chor ki manind tere dil mein chhupa hun

ek nuqte pe aa kar bhi ham-ahang nahin hain

tu apna fasana hai to main apni sada hun

chheDo na abhi shaKH-e-shikasta ka fasana

Thahro main abhi raqs-e-saba dekh raha hun

manzil ka pata jis ne diya tha mujhe 'baqi'

us shaKHs se raste mein kai bar mila hun

(1029) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Kab The Qarib Itne Main Kab Dur Raha Hun In English By Famous Poet Baqi Siddiqui. Tum Kab The Qarib Itne Main Kab Dur Raha Hun is written by Baqi Siddiqui. Read famous Poem Tum Kab The Qarib Itne Main Kab Dur Raha Hun for youth and Student by Baqi Siddiqui. Free Download Tum Kab The Qarib Itne Main Kab Dur Raha Hun in PDF.