Rang-e-dil Rang-e-nazar Yaad Aaya
rang-e-dil rang-e-nazar yaad aaya
tere jalwon ka asar yaad aaya
wo nazar ban gai paigham-e-hayat
halqa-e-sham-o-sahar yaad aaya
ye zamana ye dil-e-diwana
rishta-e-sang-o-guhar yaad aaya
ye naya shahr ye raushan rahen
apna andaz-e-safar yaad aaya
rah ka rup bani dhup apni
koi saya na shajar yaad aaya
kab na us shahr mein patthar barse
kab na us shahr mein sar yaad aaya
ghar mein tha dasht-nawardi ka KHayal
dasht mein aae to ghar yaad aaya
gard uDti hai sar-e-rah-e-KHayal
dil-e-nadan ka safar yaad aaya
ek hansti hui badli dekhi
ek jalta hua ghar yaad aaya
is tarah sham ke sae phaile
raat ka pichhla pahar yaad aaya
phir chale ghar se tamasha ban kar
phir tera rauzan-e-dar yaad aaya
kisi patthar ki haqiqat hi kya
dil ka aaina magar yaad aaya
aanch daman-e-saba se aai
eatibar-e-gul-e-tar yaad aaya
dil jala dhup mein aisa ab ke
panw yaad aae na sar yaad aaya
gar paDe hath se kaghaz 'baqi'
apni mehnat ka samar yaad aaya
(834) Peoples Rate This