Marhala Dil Ka Na TasKHir Hua
marhala dil ka na tasKHir hua
tu kahan aa ke inan-gir hua
kaam duniya ka hai tir-andazi
hum hue ya koi naKHchir hua
sang-e-buniyaadi hain hum us ghar ka
jo kisi tarah na tamir hua
safar-e-shauq ka hasil malum
rasta panw ki zanjir hua
umr-bhar jis ki shikayat ki hai
dil usi aag se iksir hua
kis se puchhen ki wo andaz-e-nazar
kab tabassum hua kab tir hua
kaun ab dad-e-suKHan de 'baqi'
jis ne do sher kahe 'mir' hua
(1019) Peoples Rate This