KHabar Kuchh Aisi UDai Kisi Ne Ganw Mein
KHabar kuchh aisi uDai kisi ne ganw mein
udas phirte hain hum bairiyon ki chhanw mein
nazar nazar se nikalti hai dard ki Tisen
qadam qadam pe wo kanTe chubhe hain panw mein
har ek samt se uD uD ke ret aati hai
abhi hai zor wahi dasht ki hawaon mein
ghamon ki bhiD mein ummid ka wo aalam hai
ki jaise ek saKHi ho kai gadaon mein
abhi hai gosh bar-awaz ghar ka sannaTa
abhi koshish hai baDi dur ki sadaon mein
chale to hain kisi aahaT ka aasra le kar
bhaTak na jaen kahin ajnabi fazaon mein
dhuan dhuan si hai kheton ki chandni 'baqi'
ki aag shahr ki ab aa gai hai ganw mein
(803) Peoples Rate This