Kahta Hai Har Makin Se Makan Bolte Raho
kahta hai har makin se makan bolte raho
is chup mein bhi hai ji ka ziyan bolte raho
har yaad har KHayal hai lafzon ka silsila
ye mahfil-e-nawa hai yahan bolte raho
mauj-e-sada-e-dil pe rawan hai hisar-e-zist
jis waqt tak hai munh mein zaban bolte raho
apna lahu hi rang hai apni tapish hi bu
ho fasl-e-gul ki daur-e-KHizan bolte raho
qadmon pe bar hote hain sunsan raste
lamba safar hai ham-safaran bolte raho
hai zindagi bhi TuTa hua aaina to kya
tum bhi ba-tarz-e-shisha-garan bolte raho
'baqi' jo chup rahoge to uTThengi ungliyan
hai bolna bhi rasm-e-jahan bolte raho
(839) Peoples Rate This