Roz-e-wahshat Hai Mere Shahr Mein Virani Ki

roz-e-wahshat hai mere shahr mein virani ki

ab koi baat nahin baat pareshani ki

mere dariya kabhi dariya bhi hua karte the

ab bhi aawaz si aati hai mujhe pani ki

aaina-KHane ke bahar wo mujhe puchhte hain

aaina-KHane mein kya baat thi hairani ki

ab ghazalan se kaho chhup ke kahin baiTh rahen

aamad aamad hai kisi ghul-e-bayabani ki

hum khule ghar ke makinon ki yahi aadat hai

hum na darban hue aur na darbani ki

yaad kar lena bahattar ki kahani 'baqi'

jang chhiD jae kisi waqt agar pani ki

(1016) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Roz-e-wahshat Hai Mere Shahr Mein Virani Ki In English By Famous Poet Baqi Ahmad Puri. Roz-e-wahshat Hai Mere Shahr Mein Virani Ki is written by Baqi Ahmad Puri. Read famous Poem Roz-e-wahshat Hai Mere Shahr Mein Virani Ki for youth and Student by Baqi Ahmad Puri. Free Download Roz-e-wahshat Hai Mere Shahr Mein Virani Ki in PDF.