Ye RuKH-e-yar Nahin Zulf-e-pareshan Ke Tale
ye ruKH-e-yar nahin zulf-e-pareshan ke tale
hai nihan subh-e-watan sham-e-ghariban ke tale
kya karen sina jo naseh se chhupate na phiren
dagh se dagh hain kuchh apne gareban ke tale
aah ki barq jo sine mein chamakti dekhi
tifl-e-ashk aa hi chhupe daman-e-mizhgan ke tale
dil mein aata hai karun ai gul-e-KHandan tujh bin
baiTh kar girya kisi naKHl-e-gulistan ke tale
yun nihan dagh-e-jigar aah se rakhta hun ki jun
baad se shama chhupawe koi daman ke tale
shaiKH Darta hun kahin baiTh na jawe ye kuan
mat khaDa ho tu asa rakh ke zanaKHdan ke tale
nahin milne ki 'baqa' hum ko ba-juz kunj-e-mazar
ja-e-asudgi is gumbad-e-gardan ke tale
(879) Peoples Rate This