Sipah-e-ishrat Pe Fauj-e-gham Ne Jo Mil Ke Markab Baham UThae
sipah-e-ishrat pe fauj-e-gham ne jo mil ke markab baham uThae
idhar to nale ka tasha kaDka udhar fughan ne alam uThae
is ashk o laKHt-e-jigar se ek hi faqat na mardum ko faeda hai
jo dur ke role adad kisi ne to lal ke bhi raqam uThae
sabab raqibon ke bazm mein ab gai wo aapas ki ham-nashini
hum aan baiThe to uTh gaya wo wo aan baiTha to hum uTh aae
tahi-kaf aae the hum adam se chale bhi yan se to dast-e-KHali
na tosha wan se liya tha zar ka na sath yan se diram uThae
'baqa' jo rahi hue adam ke to waqfa hargiz karo na dam ka
ye rah hasti ki pur-KHatar hai chalo yahan se qadam uThae
(737) Peoples Rate This