Sair Mein Teri Hai Bulbul Bostan Be-kar Hai
sair mein teri hai bulbul bostan be-kar hai
bostan ghairat se KHud ujDa KHizan be-kar hai
chhoD kar aansu ko laKHt-e-dil gaya ham-rah-e-ah
naw KHushki mein chali aab-e-rawan be-kar hai
gah zamin se baam par hun baam se gah bar zamin
is tapish se apne ghar ki nardban be-kar hai
aai ab fasl-e-gul aur mujh andalib-e-zar ka
hai nasheman shaKH-e-gul par aashiyan be-kar hai
yar se aur hum se mahfil mein bacha kar chashm-e-ghair
hai suKHan ima mein baham aur zaban be-kar hai
mere Dar se tu ne biThlaya tha dar par pasban
so main hasrat se mua ab pasban be-kar hai
KHalq ko mare hai chashm us ki muattal hai qaza
fitna hai us ki nigah mein aasman be-kar hai
mangta hun bosa main jis dam to us dam yar ke
kar mein lab par nahin hai dil mein han be-kar hai
kar-farma dekh kar ghairon pe main us se kaha
kar hai mujh se bhi kuchh bola ki han be-kar hai
ai 'baqa'-e-karwan is reKHte ki har radif
garche hai be-kar par batla kahan be-kar hai
(754) Peoples Rate This