Rakhta Hai Yun Wo Zulf-e-siyah-fam Dosh Par
rakhta hai yun wo zulf-e-siyah-fam dosh par
sayyaad jis tarah se dhare dam dosh par
shane talak chaDhe bin ab aansu ko kab hai chain
sach hai ki howe tifl ko aaram dosh par
ek din mila jo shaiKH to phir mai-kashon ke sath
sar par liye phirega subu jam dosh par
milna to aaj bhi na hua shab ko aur uTha
ifa-e-wada ai but KHud-kaam dosh par
hai dil mein ghar ko shahar se sahra mein le chalen
uThwa ke aansuon se dar-o-baam dosh par
wo zisht-baKHt hun ki malaek ko bhi mere
likhne ka pesh aawe jo kuchh kaam dosh par
neki meri to nam badon ke karen raqam
zishti likhen badon ki mere nam dosh par
mutrib bachon ne shaiKH ko Tangiya liya tamam
li waqt-e-ja-e-KHilat-e-inam dosh par
Dala na bar-e-ishq zamin par 'baqa' ne yar
sar se agar gira to liya tham dosh par
(770) Peoples Rate This