Rah-rawan Kahte Hain Jis Ko Jaras-e-mahmil Hai
rah-rawan kahte hain jis ko jaras-e-mahmil hai
mehnat-e-rah se nalan wo hamara dil hai
mauj se besh nahin hasti-e-wahmi ki numud
safha-e-dahr pe goya ye KHat-e-baatil hai
kuchh tayyun nahin is rah mein jun reg-e-rawan
jis jagah baiTh gae apni wahi manzil hai
aastin hashr ke din KHun se tar ho jis ki
ye yaqin jaaniyo us ko ki mera qatil hai
khol do uqda-e-kaunain 'baqa' ke pal mein
ya-ali tum ko ye aasan hai use mushkil hai
(775) Peoples Rate This