Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_96c92c67a3bac813ca7090b066ea7a11, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Qaza Ne Haal-e-gul Jab Safha-e-taqdir Par Likkha - Baqaullah 'Baqa' Poetry In English - Darsaal

Qaza Ne Haal-e-gul Jab Safha-e-taqdir Par Likkha

qaza ne haal-e-gul jab safha-e-taqdir par likkha

meri diwangi ka majra zanjir par likkha

zaifi se nahin pairon ke chin peshani-o-ru par

ye KHatt-e-na-umidi hai ki ru-e-pir par likkha

nahin tujh se hamein dawa-e-KHun gar shama ne qatil

ab apne KHun ka mahzar gardan-e-gul-gir par likkha

ye sab mazmun hai shirin kohkan ki ru-sapedi ka

jahan tak mauj ne satron ko ju-e-shir par likkha

'baqa' ke dil mein aa aaina teri qadr kya jaane

abas hai naqsh-e-gul gar bulbul-e-taswir par likkha

(718) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qaza Ne Haal-e-gul Jab Safha-e-taqdir Par Likkha In English By Famous Poet Baqaullah 'Baqa'. Qaza Ne Haal-e-gul Jab Safha-e-taqdir Par Likkha is written by Baqaullah 'Baqa'. Read famous Poem Qaza Ne Haal-e-gul Jab Safha-e-taqdir Par Likkha for youth and Student by Baqaullah 'Baqa'. Free Download Qaza Ne Haal-e-gul Jab Safha-e-taqdir Par Likkha in PDF.