Meri Go Aah Se Jangal Na Jale KHushk To Ho
meri go aah se jangal na jale KHushk to ho
ashk ki tuft se go jal na jale KHushk to ho
pak karte hue gar ashk mere daman ka
nala-e-garm se aanchal na jale KHushk to ho
nami-e-ashk ke bais jo meri aah se raat
zer-e-ruKH takiya-e-maKHmal na jale KHushk to ho
mehr-wash husn ki garmi se tere waqt-e-araq
tan pe gar nima-e-malmal na jale KHushk to ho
saqiya mausam-e-gul be-mai-o-mina jo meri
aah ki barq se baadal na jale KHushk to ho
shola-ru nit ki sawari mein sabab garmi ke
zer-e-ran go tere kotal na jale KHushk to ho
ho agar ye dil-e-sozan tere quliyan ki chilam
aab-e-nai se jo ye narsal na jale KHushk to ho
hae ai aatish-e-dil aab se garmi se jala
chashm-e-tar ki meri chhagal na jale KHushk to ho
tifl bad-KHu hai mera ashk, KHudaya is ki
go ba-KHirman hui konpal na jale KHushk to ho
gharq hai ashk mein ghar tujh se ab ai nala-e-garm
go mere sukh ka ye manDal na jale KHushk to ho
ashk se KHama rahe jo mere bas mein na 'baqa'
go tab-e-tan se ye babbal na jale KHushk to ho
(889) Peoples Rate This