Kal Mai-kade Ki Jaanib Aahang-e-mohtasib Hai
kal mai-kade ki jaanib aahang-e-mohtasib hai
darpesh mai-kashon ko phir jang-e-mohtasib hai
hota hai shisha-e-dil chur us ki guftugu se
yarab ye pand-e-naseh ya sang-e-mohtasib hai
munh surKH ho raha hai bim-e-mughan se us ka
jo kuchh hai rang-e-mina so rang-e-mohtasib hai
az-bas giran hai us par mina se mai ki qulqul
paDhna bhi chaar qul ka ab nang-e-mohtasib hai
hargiz 'baqa' na rahiyo daur-e-falak se ghafil
maston ki nit kamin mein sar-chang-e-mohtasib hai
(780) Peoples Rate This