Jo Chashm-o-dil Se ChaDha Dun Nale Ba-ab-e-awwal Dowam-ba-atish
jo chashm-o-dil se chaDha dun nale ba-ab-e-awwal dowam-ba-atish
to mah-o-KHur ke bharun pyale ba-ab-e-awwal dowam-ba-atish
jo chashm rowe to dil bhi aahon mein meri laKHt-e-jigar pirowe
jape wo sumran teri ye male ba-ab-e-awwal dowam-ba-atish
jo koi turbat pe meri guzre to tab-e-ashk-o-tab-e-fughan se
paDen do har har qadam pe chhaale ba-ab-e-awwal dowam-ba-atish
jo aah-e-pechan se ashk shab ko falak pe gardish-kunan chaDhega
to gird-e-mah do paDenge haale ba-ab-e-awwal dowam-ba-atish
sarishk-o-ah ab ye be-asar hain ki ja falak tak shab-e-judai
dar-e-asar par ye de hain tale ba-ab-e-awwal dowam-ba-atish
mabaad furqat mein chashm-o-dil ki ye ashk-rezi aur aah-KHezi
bala-e-nagah jahan pe Dale ba-ab-e-awwal dowam-ba-atish
falak se dewon ki tarah us bin sarishk-o-ah-e-'baqa' se ab to
chaDhe hain laDne ko do risale ba-ab-e-awwal dowam-ba-atish
(717) Peoples Rate This