Dil KHun Hai Gham Se Aur Jigar Yak-na-shud Do-shud
dil KHun hai gham se aur jigar yak-na-shud do-shud
lab KHushk hain to chashm hai tar yak-na-shud do-shud
ruswa to nala kar ke hue lekin us ne yar
dil mein tere kiya na asar yak-na-shud do-shud
awwal to hum ko taqat-e-parwaz hi na thi
tis par burida ho gae par yak-na-shud do-shud
paya na hum ne sud mohabbat mein yar ki
is par bhi pahunchta hai zarar yak-na-shud do-shud
chhiDka mere jigar pe namak ghair se raha
paiwasta misl-e-shir-o-shakar yak-na-shud do-shud
aawara jun saba hun par ab justuju-e-yar
rakhti hai mujh ko KHak-basar yak-na-shud do-shud
mushkil tha dekhna hi tera tis pe roz-e-wasl
lai na chashm tab-e-nazar yak-na-shud do-shud
nalan hum apne ashk ke hathon the ab 'baqa'
bahne lagen hain laKHt-e-jigar yak-na-shud do-shud
(831) Peoples Rate This