Dast-e-naseh Jo Mere Jeb Ko Is Bar Laga
dast-e-naseh jo mere jeb ko is bar laga
phaDun aisa ki phir is mein na rahe tar laga
pahunchi us but ko KHabar nala-e-tanhai ki
muddai kaun khaDa tha sar-e-diwar laga
maraz-e-ishq tumhaara to ye tufan hai ki main
jis se mazkur kiya us ko ye aazar laga
jis ka mallah bana ishq wo kashti Dubi
us ke kehwe se to beDa na koi par laga
murgh-e-zirak the tah-e-dam na aae hargiz
uD gae hum sar-e-sayyad pe minqar laga
dard ye dil mein uTha raat ki ho garm-e-tapish
uD gaya sune falak mein par-e-ahrar laga
parda-e-KHak se di mujh ko kisi ne aawaz
gor hamwar thi sunne jo main yakbar laga
phir to ghaflat-zada ta-KHwab-e-adam hai yan tu
dekh le hum ko na Tuk dida-e-bedar laga
jab main dekhun hun to kasrat hai KHaridaron ki
ghar mein us ghairat-e-yusuf ke hai bazar laga
khinch pichhe ko qadam aah main yan tak roya
ki mere aage 'baqa' dur ka ek ambar laga
(697) Peoples Rate This