Shor-e-dariya Hai Kahani Meri
shor-e-dariya hai kahani meri
pani is ka hai rawani meri
kuchh ziyaada hi bhali lagti hai
mujh ko taswir purani meri
jab bhi ubhra tera mahtab-e-KHayal
khil uThi raat ki rani meri
baDh ke sine se laga leta hun
jaise har gham ho nishani meri
mehrban mujh pe hai ek shaKH-e-gulab
kaise mahke na jawani meri
phir tere zikr ki sarson phuli
phir ghazal ho gai dhani meri
kuchh to aamal bure the apne
kuchh sitaron ne na mani meri
likhi jaegi tere barf ke nam
jo tamanna hui pani meri
tum ne jo bhi kaha main ne mana
tum ne ek baat na mani meri
muKHtasar baat thi jaldi bhi thi kuchh
is pe kuchh zud-bayani meri
(814) Peoples Rate This