Pag Pag Phul Khile The Lekin Tan-man Mein Thi Aag

pag pag phul khile the lekin tan-man mein thi aag

wo to sath nahin tha lekin sath the is ke bhag

soch raha hun kis ke wish se hogi kam taklif

chaaron aur khaDe hain mere rang-birange nag

dhire dhire man-agni ThanDi na kahin ho jae

chheD kabhi dil ki bina par koi purana rag

miThe pani ki naddi kyun bahe samundar or

jis ke man mein pyar ka dhan ho kyun le wo bairag

aaj yahan kal wahan yahi hai 'baqar' apna haal

har miTTi dhutkare jab se chhuT gaya prayag

(763) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pag Pag Phul Khile The Lekin Tan-man Mein Thi Aag In English By Famous Poet Baqar Naqvi. Pag Pag Phul Khile The Lekin Tan-man Mein Thi Aag is written by Baqar Naqvi. Read famous Poem Pag Pag Phul Khile The Lekin Tan-man Mein Thi Aag for youth and Student by Baqar Naqvi. Free Download Pag Pag Phul Khile The Lekin Tan-man Mein Thi Aag in PDF.