Khet Se Bach Kar Guzre Basti Ko Virani De
khet se bach kar guzre basti ko virani de
wo dariya kya dariya jo sagar ko pani de
sher suna koi aisa jis se lage badan mein aag
nind uD jae jis se aisi koi kahani de
sukh rahe hain bagh-baghiche nahren ret huin
ai mausam ke malik ek mausam barani de
KHud banwae mahal do-mahle hum ko sunae hadis
KHud to pahne aba qaba hum ko uryani de
toD gai dam aaKHir pyasi raat amawas ki
pyare suraj ab to apne chand ko pani de
kaun sunega tera qissa rone-dhone ka
laila majnun shamil kar koi raja rani de
ab tak tum ne 'baqar' aise kaun se kaam kiye
kis ummid pe malik tum ko nai jawani de
(715) Peoples Rate This