Ye Raat
sitare chup hain ki chalti hai tez tez hawa
ye raat apni mohabbat ki raat bhi to nahin
faza mein yaadon ke jugnu chamak rahe hain abhi
hasin yaadon ko lekin sabaat bhi to nahin
gham-e-hayat se manus ho chala hai dil
nae nae hi sahi sanehat bhi to nahin
badal ke rakh den jo lail-o-nahaar duniya ke
abhi hayat ke wo hadsat bhi to nahin
wahi hai KHun-e-tamanna wahi hai hasrat-e-gham
ye maut bhi to nahin hai hayat bhi to nahin
ye raat johd-e-musalsal ki ek raat sahi
tabahiyon ko liye bar bar guzregi
koi batae kahan tak ki zindagi ki ye raat
fasurda guzri hai aur sogwar guzregi
abhi to roz yahi fikr hai jien kaise
abhi to raat yunhi be-qarar guzregi
sukun-e-dil ke liye aaj bhi yaqin sa hai
yahi chaman se KHizan sharmsar guzregi
nae charagh jalaen umid-e-farda se
kabhi to wadi-e-gham se bahaar guzregi
ye raat ek nai yaadgar lai hai
saja ke zaKHmon ke phulon ka haar lai hai
(893) Peoples Rate This