Usne Kaha!
sae baDhne lage aur jaise kahin raat hui
der tak baiThe rahe aankhon mein aankhen Dale
phir dil-e-zar ne chupke se unhen chum liya
honT tharrae ki kis tarah ki ye baat hui
pyari aankhon ne kaha hum to bahut hain maKHmur
koi nashad rahe hum to abhi hain masrur
zehn-e-shaer bhi taKHayyul mein zara jhum liya
baat utni hi hui thi ki wo aankhen bolin
bar-ha tum ne hamari hi qasam khai hai
sach kaho jurat-e-dil kaise kahan pai hai
hum pe sadqe kiya karte ho dil-o-jaan lekin
raaz hain kaun se pinhan ye samajhte bhi ho!
kis tarah tum se karen ahd-e-wafa ki baaten
ajnabi hota hai mehman ye samajhte bhi ho!
Dubne lagte ho jab yas ki gahrai mein
bekasi hum se tumhaari nahin dekhi jati!
jam pe jam chaDhate ho ki gham kuchh bhi nahin
be-KHudi hum se tumhaari nahin dekhi jati!
kyun kaha karte ho duniya hai ye hum kuchh bhi nahin
aise lamhon mein bhala kis ne sambhaala hai kaho
gham-kade se tumhein kis tarah nikala hai kaho!
apne sine mein bhi jazbaat ke tufan hain magar
hum tumhaari hi tarah be-sar-o-saman hain magar
husn ke aaj har ek gam pe saudai hain
apni nazren bhi to ab bais-e-ruswai hain
zehn-e-shaer ne ye baaten bhi sunin kuchh na kaha
hath KHud baDh ke nai tarah se hathon se mile
aankhon aankhon mein mohabbat ki nai baat hui
sae baDhne lage aur jaise kahin raat hui
(1095) Peoples Rate This