Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_ca1a45e21269f17afae0eed7db781fb0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
TuTe Shishe Ki AaKHiri Nazm - Baqar Mehdi Poetry In English - Darsaal

TuTe Shishe Ki AaKHiri Nazm

TuTe shishe ki aaKHiri nazm

bhagte waqt ko main aaj pakaD laya hun

ye mera waqt mere zehn ki taKHliq sahi

raat aur din ke tasalsul ko pareshan kar ke

main ne lamhat ko ek rup diya

subh ko raat ki zanjir se aazad kiya

KHwab-o-bedi ki diwar gira di main ne

zindagi maut se kab tak yun hirasan rahti

kya hua waqt o haqiqat ka zawal

main

apni TuTi hui zanjir kahan dafn karun

har taraf qabren mujawir hain

dewtaon ke muqaddas ajsam

har jagah dafn hain

koi virana nahin dur talak

kya mujhe apne hi zehn ke is goshe mein

TuTe aadarshon ke aaine mein

waqt ke aks ko dafnana hai

(859) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

TuTe Shishe Ki AaKHiri Nazm In English By Famous Poet Baqar Mehdi. TuTe Shishe Ki AaKHiri Nazm is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem TuTe Shishe Ki AaKHiri Nazm for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download TuTe Shishe Ki AaKHiri Nazm in PDF.