Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2b56f31965ff0768311b23888c22ba76, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ret Aur Dard - Baqar Mehdi Poetry In English - Darsaal

Ret Aur Dard

muddaten guzrin mere dil ko hue virana

aandhiyan bhi nahin aatin

ki uDe ret miTe naqsh-e-sarab

aur ek dard ka chashma

mundamil zaKHmon se phuTe nai KHunki le kar

pyas jag uTThe sukut-e-dil-e-muztar TuTe

taki main dekh sakun

apni be-KHwab si aankhon se wo manzar ek din

ret ke tode fazaon mein uDe jate hain

aur KHush ho ke kahun

zindagi ret sahi dard ka chashma bhi to hai

(848) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ret Aur Dard In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Ret Aur Dard is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Ret Aur Dard for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Ret Aur Dard in PDF.