Nirwan
ek KHushbu dard-e-sar ki murjhai kaliyon ko khilae jati hai
zehn mein bichchhu ummidon ke Dank lagate hain
hichki le kar phir KHud hi mar jate hain
dil ki dhaDkan sachchai ke talKH dhuen ko gahra karti paiham baDhti jati hai
peT mein bhuk Dakaren leti rahti hai
phir rag rag mein suiyan ban kar bhagi bhagi phirti hai
pure jism mein dard ka ek lawa sa bahta rahta hai
aisa mujh ko lagta hai
jaise main
aaKHiri qai mein is duniya ki sari ghizaen KHwab o haqiqat ki aalaish
aadarshon ki miThi sharaben
ek be-mani kashish mein uljha
ye jiwan
sara ka sara ugal dunga
shayad mujh ko is lamhe nirwan mile
(861) Peoples Rate This