KHamushi
koi image kisi baat ka hasin saya
nae purane KHayalon ka ek achhuta mel
kisi ki yaad ka bhaTka hua koi jugnu
kisi ke nile se kaghaz pe chand adhure lafz
baghawaton ka purana ghisa piTa nara
kisi kitab mein zinda magar chhupi ummid
purani ghazlon ki ek rakh be-dili aisi
KHud apne aap se uljhan ajib be-zari
gharaz ki muD ke sau rang aaine partaw
magar ye kya hua ab kuchh bhi likh nahin sakta
na jaane kab se ye be-mani KHamushi be-muhit
KHud apne sae se main chhuT gaya hun ya shayad
kahin main lafzon ki duniya ko chhoD aaya hun
(779) Peoples Rate This