Jahannam
jab pas nahin kuchh bhi mere
KHwahish maqsad aadarsh ke TuTe aaine
phir gardish-e-roz-o-shab ka mujhe ehsas hai kyun
kya gham mujh ko jab subh ki koi fikr nahin
aur sham-e-alam se Dar bhi nahin
wo panw mein ab chakkar bhi nahin
sae ki koi hajat bhi nahin
ab maut ka khaTka koi KHalish mauhum tamanna ka arman
kuchh bhi to nahin
phir kaise main kahta hun mujhe
mausam ke badalte rangon ka ehsas hai bas
aisa to nahin main mar bhi chuka
aur koi nahin hai nauha-kunan
(mazi ki riwayat, haal ka gham farda ki umiden kya hongi)
jab un se nahin main wabasta
phir kya hai koi raaz to hai
ek aag si jalti rahti hai rag rag mein meri
ek be-mani sa dard mera ehsas jagata rahta hai
is tarah ki main sab kuchh yunhi mahsus karun aur kuchh na kahun
jab tak ye jahannam raushan hai
main zinda hun
(810) Peoples Rate This