GoDo
hawaen chalti hain thamti hain bahne lagti hain
nae libas nae rang-rup saj-dhaj se
purane zaKHm nae din ko yaad karte hain
wo din jo aa ke naqaben utar Dalega
nazar ko dil se milaega dil ko baaton se
har ek lafz mein mani ki raushni hogi
magar ye KHwab ki baaten sarab ki yaaden
har ek bar pasheman dil girafta hain
subh ke sare hi aKHbar wahshat-afza hain
har ek rahzan o rahbar ki aaj ban aai
ki ab har ek jiyala hai surma sab hain
bataun kis se ki main muntazir hun jis din ka
wo shayad ab na kabhi aaega zamane mein
kahan pe hai mera goDo mujhe KHabar hi nahin
use main DhunD chuka rome aur london mein
na moscow mein mila aur na chin o paris mein
bhala milega kahan bambai ki galiyon mein
ye intizar-e-musalsal ye jaan-kani ye azab
har ek lamha jahannam har ek KHwab sarab
(1000) Peoples Rate This