Dimak
KHun ka har ek qatra jaise
dimak ban kar dauDe
nakaami ke zahr ko chaTe
dard mein ghulta jae
chhalni jism se riste lekin
armanon ke rang
jin ka rup mein aana mushkil
aur jab bhi alfaz mein Dhal kar
kaghaz par bah nikle
KHake taswiron ke banae
aankhen tare hath shuaen
dil ek sadaf hai jis mein
kitne sachche moti bhare hue hain
bahar aate hi ye moti
shabnam ban kar uD jate hain
jaise apna khoya suraj DhunD rahe hain
main apne anjam se pahle
shayad ek din
in KHakon mein rang bharunga
ye bhi to mumkin hai lekin
main bhi ek KHaka ban jaun
jis ko dimak chaT rahi ho
(799) Peoples Rate This