Alwidaa
alwidaa
kaise mah-o-sal guzre
ab na kuchh bhi yaad hai
sirf hain dhundle nuqush
ya basarat ki kami hai
kuchh nazar aata nahin
bas kitabon aur filmon mein rahi
ek basirat ki talash
kuchh na kuchh roTi ki bhi thi justuju
jaane kis manzil ki thi wo aarzu
be-sabab logon se yarana raha
aur phir tanha raha barson talak
sab the qaidi apne apne jal ke
tamannaon ki daldal mein paDe
kis mein himmat thi ki badle zindagani ke purane KHol ko
hum se sarkash ko diya karte the nam
aur hans kar KHush hua karte sare ajnabi
kaun samjhae ki hum mahkum hain mazlum hain
bebasi kaise muqaddar ban gai
bolega kaun
KHauf aisa hai ki koi shaKHs kuchh kahta nahin
jaane kis tufan ke sab muntazir hain
but bane
kaise chillaun ki apna ham-nawa koi nahin
alwidaa KHud apne sae ko magar
kahna paDa
(1095) Peoples Rate This