Zarre Ka Raaz Mehr Ko Samjhana Chahiye
zarre ka raaz mehr ko samjhana chahiye
chhoTi si koi baat ho laD jaana chahiye
KHwabon ki ek naw samundar mein Dal ke
tufan ki mauj mauj se Takrana chahiye
har baat mein jo zahr ke nashtar lagae hain
aise hi dil-jalon se to yarana chahiye
kya zindagi se baDh ke jahannam nahin koi
ye sach hai phir to aag mein jal jaana chahiye
duniya wo shahrah hai bachna muhaal hai
pagDanDiyon ko DhunDh ke apnana chahiye
nazmen wo hon ki chiKH paDen sare ahl-e-fan
ninden uDa de sab ki wo afsana chahiye
bahron ko toD toD ke nale mein Dal do
bas dil ki lai mein fikr ko Dhal jaana chahiye
ye kahkashan bhi TuT ke ho misraon mein jazb
zehn-e-rasa ko itna to uljhana chahiye
hum 'ulysses' ban ke bahut ji chuke magar
yaro 'husain' ban ke bhi mar jaana chahiye
(838) Peoples Rate This