Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_db4f271e95e5517830b74733a03b89d2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Bhag Ke Jaunga Kahan Apne Watan Se - Baqar Mehdi Poetry In English - Darsaal

Main Bhag Ke Jaunga Kahan Apne Watan Se

main bhag ke jaunga kahan apne watan se

jita hun masaib ki baqa mere liye hai

sach bolne wale ko Daraate ho sitam se

ruk jao Thahar jao jaza mere liye hai

afsos kaTi umr kutub-KHanon mein lekin

ye wusat-e-sahra ye faza mere liye hai

mein rah-e-yagana pe hamesha se chala hun

ruswai tabahi to sada mere liye hai

mujrim hun ki fascism ke sae mein hun jita

'baqar' ko bacha lo ye saza mere liye hai

(1069) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Bhag Ke Jaunga Kahan Apne Watan Se In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Main Bhag Ke Jaunga Kahan Apne Watan Se is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Main Bhag Ke Jaunga Kahan Apne Watan Se for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Main Bhag Ke Jaunga Kahan Apne Watan Se in PDF.