Kya KHabar Thi Ki Kabhi Be-sar-o-saman Honge
kya KHabar thi ki kabhi be-sar-o-saman honge
fasl-e-gul aate hi is tarh se viran honge
dar-ba-dar phirte rahe KHak uDate guzri
wahshat-e-dil tere kya aur bhi ehsan honge
rakh hone lagin jal jal ke tamannaen magar
hasraten kahti hain kuchh aur bhi arman honge
ye to aaghaz-e-masaib hai na ghabra ai dil
hum abhi aur abhi aur pareshan honge
meri duniya mein tere husn ki ranai hai
tere sine mein mere ishq ke tufan honge
kafiri ishq ka shewa hai magar tere liye
is nae daur mein hum phir se musalman honge
lakh dushwar ho milna magar ai jaan-e-jahan
tujh se milne ke isi daur mein imkan honge
tu inhi sheron pe jhumegi ba-andaz-e-digar
hum teri bazm mein ek roz ghazal-KHwan honge
(967) Peoples Rate This