Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2cbb7d62a6d92be1119640bc3cad7011, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jo Zamane Ka Ham-zaban Na Raha - Baqar Mehdi Poetry In English - Darsaal

Jo Zamane Ka Ham-zaban Na Raha

jo zamane ka ham-zaban na raha

wo kahin bhi to kaamran na raha

is tarah kuchh badal gai hai zamin

hum ko ab KHauf-e-asman na raha

jaane kin mushkilon se jite hain

kya karen koi mehrban na raha

aisi beganagi nahin dekhi

ab kisi ka koi yahan na raha

har jagah bijliyon ki yurish hai

kya kahin apna aashiyan na raha

muflisi kya gila karen tujh se

sath tera kahan kahan na raha

hasraten baDh ke chumti hain qadam

manzilon ka koi nishan na raha

KHun-e-dil apna jal raha hai magar

shama ke sar pe wo dhuan na raha

gham nahin hum tabah ho ke rahe

hadsa bhi to na-gahan na raha

qafile KHud sambhal sambhal ke baDhe

jab koi mir-e-karwan na raha

(786) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Zamane Ka Ham-zaban Na Raha In English By Famous Poet Baqar Mehdi. Jo Zamane Ka Ham-zaban Na Raha is written by Baqar Mehdi. Read famous Poem Jo Zamane Ka Ham-zaban Na Raha for youth and Student by Baqar Mehdi. Free Download Jo Zamane Ka Ham-zaban Na Raha in PDF.