Is Darja Hua KHush Ki Dara Dil Se Bahut Main
is darja hua KHush ki Dara dil se bahut main
KHud toD diya baDh ke tamannaon ka dhaga
taki na banun phir kahin ek banda-e-majbur
han qaid-e-mohabbat se yahi soch ke bhaga
Thokar jo lagi apne azaem ne sambhaala
main ne to kabhi koi sahaara nahin manga
chalta raha main ret pe pyasa tan-e-tanha
bahti rahi kuchh dur pe ek pyar ki ganga
main tujh ko magar jaan gaya sham-e-tamanna
samjhi thi ki jal jaega shaer hai patinga
aankhon mein abhi tak hai KHumar-e-gham-e-jaanan
jaise ki koi KHwab-e-mohabbat se hai jaga
jo KHud ko badal dete hain is daur mein 'baqar'
karte hain haqiqat mein wo sone pe suhaga
(811) Peoples Rate This