Fareb Kha Ke Bhi Sharminda-e-sukun Na Hue
fareb kha ke bhi sharminda-e-sukun na hue
na kam hua kisi manzil pe walwala dil ka
ye soch kar teri mahfil se hum chale aae
ki ek bar to baDh jae hausla dil ka
palaT ke ab na kabhi lucknow se guzrega
nikal gaya hai bahut dur qafila dil ka
harif-e-ishq koi ho harif-e-gham to nahin
kisi se ho na sakega muqabla dil ka
koi kisi ka nahin ham-zaban zamane mein
karen to kis se karen ja ke ab gila dil ka
shikast khane ka yara nahin pa kya kije
ek ajnabi se paDa hai muqabla dil ka
tumhaari nazr bhi lae jo hum to kya lae
zara sambhaal ke rakhna ye aabla dil ka
(962) Peoples Rate This