Diwangi Ki Rah Mein Gum-sum Hua Na Tha!
diwangi ki rah mein gum-sum hua na tha!
duniya mein apna koi kahin aashna na tha!
dhaDkan ka dard jism ko taDpa ke rah gaya
rag rag mein ek shor-e-masiha bapa na tha!
ek kashmakash ke baad talluq nahin raha
begana ho ke hum se wo lekin KHafa na tha!
diwar-o-dar pe parde laTakte the har taraf
iflas kone kone mein lekin chhupa na tha!
zanjiren lakh TuTin magar KHauf-e-hukmaran
majburiyon ke jal se koi riha na tha!
ek apni chiKH se laraz uTThe the baam-o-dar
aai na bazgasht koi ham-nawa na tha!
aate rahe na jaane kahan se KHaton pe KHat
be-nur chashm-e-nam ne kisi ko paDha na tha!
(1018) Peoples Rate This