Dasht-e-wafa Mein Thokaren Khane Ka Shauq Tha
dasht-e-wafa mein Thokaren khane ka shauq tha
ab har qadam pe uDti hai kali hari hawa
tanha kahan hun go ki yahan koi bhi nahin
mujh se lipaT ke sota hai saya KHafa KHafa
hain gul-mohar ke peD bhi dariya bhi dhup bhi
KHamosh dekhta hai har ek shai ko be-nawa
jine ki rah chhoD ke aage nikal gaya
manzil pukarti rahi jata hai sar-phira
naghma bana ke mujh ko faza mein uDa diya
ab main kahan se DhunDh ke laun teri sada
(825) Peoples Rate This