Dard-e-dil Aaj Bhi Hai Josh-e-wafa Aaj Bhi Hai
dard-e-dil aaj bhi hai josh-e-wafa aaj bhi hai
zaKHm khane ka mohabbat mein maza aaj bhi hai
garmi-e-ishq nigahon mein nahin hai na sahi
muskuraati hui aankhon mein haya aaj bhi hai
husn paband-e-qafas ishq asir-e-alam
zindagi jurm-e-mohabbat ki saza aaj bhi hai
hasraten zist ka sarmaya bani jati hain
sina-e-ishq pe wo mashq-e-jafa aaj bhi hai
daman-e-sabr ke har tar se uThta hai dhuan
aur har zaKHm pe hangama uTha aaj bhi hai
apne aalam-o-masaib ka wahi darman hai
dard ka had se guzarna hi dawa aaj bhi hai
'mir' o 'ghaalib' ke zamane se nae daur talak
shaer-e-hind giraftar-e-bala aaj bhi hai
(1115) Peoples Rate This