Aur Koi Jo Sune KHun Ke Aansu Roe
aur koi jo sune KHun ke aansu roe
achchhi lagti hain magar hum ko tumhaari baaten
hum milen ya na milen phir bhi kabhi KHwabon mein
muskuraati hui aaengi hamari baaten
hae ab jin pe masarrat ka guman hota hai
ashk ban jaengi ek roz ye pyari baaten
yaad jab koi dilaega sar-e-sham tumhein
jagmaga uTThengi taron mein hamari baaten
un ko maghrur banaya hai baDi mushkil se
aaina ban ke rahen kash hamari baaten
milte milte yunhi begane se ho jaenge
dekhte dekhte kho jaengi sari baaten
wo bahut sochen taDap uTThin magar ai 'baqir'
yaad aain to na aain ye tumhaari baaten
(875) Peoples Rate This