Man
wo kaun hai jo udas raaton ki chandni hain
kai duaen labon pe le kar
malul ho kar
bhula ke sari thakan din ki
ye sochti hai
ki main na jaane hazar milon pare jo baiTha hun
kis tarah hun
wo kaun hai jo udas raaton ke rat-jage mein
duaon ki mishalen jalane khaDi hui hai
duaen jis ki mere liye hain
main un duaon ke zer-e-saya
zamin se aasman ki jaanib yun mahw-e-parwaz hun ki jaise
bashar-gazida KHuda se milne ko ja raha ho
phir ek lamhe ko mere andar se itni aawazen gunjti hain
main in se barson se aashna hun
ye hath jo ki buland ho kar laraz rahe hain
ye hath mere liye tahaffuz ka istiara
ye hath mere liye jahan ki
hazar KHushbu se baala-tar hain
yahi to hain wo jinhon ne mujh ko
qadam uThana qadam baDhana sikha diya hai
(839) Peoples Rate This