Sabr-o-zabt Ki Jaanan Dastan To Main Bhi Hun Dastan To Tum Bhi Ho
sabr-o-zabt ki jaanan dastan to main bhi hun dastan to tum bhi ho
apni apni azmat ka aasman to main bhi hun aasman to tum bhi ho
sahilon ki duri se sawanon ke mausam mein kaise Dub sakte the
be-qarar mausam mein baadban to main bhi hun baadban to tum bhi ho
jism apne fani hain jaan apni fani hai fani hai ye duniya bhi
phir bhi fani duniya mein jawedan to main bhi hun jawedan to tum bhi ho
hum ne jo bhi paya hai ishq ke KHazane se wo hai dafn sine mein
in dukhon ka jaan-e-jaan pasban to main bhi hun pasban to tum bhi ho
phir purani rasmen hain aur phir wahi duniya darmiyan mein hael hai
waqt aur samay ka tarjuman to main bhi hun tarjuman to tum bhi ho
hum bichhaD chuke lekin rasm-o-rah ki KHatir milte rahte hain warna
kuchh udas shamon ka raaz-dan to main bhi hun raaz-dan to tum bhi ho
ek jaisa dariya hai ek jaisi maujen hain ek jaisi tughyani
aab-e-gham ki lahron ke darmiyan to main bhi hun darmiyan to tum bhi ho
(1083) Peoples Rate This