Kaisa Lamha Aan PaDa Hai

kaisa lamha aan paDa hai

hansta ghar viran paDa hai

bistar par kuchh phul paDe hain

aangan mein gul-dan paDa hai

kirchi kirchi sapne sare

dil mein ek arman paDa hai

log chale hain sahraon ko

aur nagar sunsan paDa hai

ek jaanib ek nazm ke TukDe

ek jaanib unwan paDa hai

(919) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Kaisa Lamha Aan PaDa Hai In English By Famous Poet Baqa Baluch. Kaisa Lamha Aan PaDa Hai is written by Baqa Baluch. Read famous Poem Kaisa Lamha Aan PaDa Hai for youth and Student by Baqa Baluch. Free Download Kaisa Lamha Aan PaDa Hai in PDF.