Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_50a401edd3d6c1911b35217b9fdec0ff, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Log Bhuke Hain Bahut Aur Niwale Kam Hain - Balwan Singh Azar Poetry In English - Darsaal

Log Bhuke Hain Bahut Aur Niwale Kam Hain

log bhuke hain bahut aur niwale kam hain

zindagi tere charaghon mein ujale kam hain

bad-suluki bhi nikal aai hai zindanon se

bad-zabanon ki zabanon pe bhi tale kam hain

mai-kashi ke liye nayab hain jo sadiyon se

chashm-e-saqi ne wahi jam uchhaale kam hain

tu ne buzdil to banae hain bahut se lekin

mere malik teri duniya mein jiyale kam hain

rah-e-pur-KHar se Darta hai abhi tu 'azar'

aisa lagta hai tere paon mein chhaale kam hain

(773) Peoples Rate This

Related Poetry

Your Thoughts and Comments

Log Bhuke Hain Bahut Aur Niwale Kam Hain In English By Famous Poet Balwan Singh Azar. Log Bhuke Hain Bahut Aur Niwale Kam Hain is written by Balwan Singh Azar. Read famous Poem Log Bhuke Hain Bahut Aur Niwale Kam Hain for youth and Student by Balwan Singh Azar. Free Download Log Bhuke Hain Bahut Aur Niwale Kam Hain in PDF.