Visal
teri qurbat ki lazzat-e-shirin
jism-o-jaan mein utarti jati hai
chand upar hai nile ambar mein
jhil niche hai aur hum donon
aa mere pas aa yahan shab-bhar
apne jismon ki wadi-e-nau mein
sabz peDon khanakte jharnon ki
naghmagi latif ko DhunDen
apni ruhen kasafat-e-gham se
tair uThengi taza zinda
do kanwal ke hasin phulon ke
rup mein Dhal ke muskuraengi
aur pariyan hamein sulaen gi
aasman se zamin tak hasti
KHwab hai aur KHwab-e-awara
jhonke aate hain narm aur taza
donon jismon mein raazdari hai
donon ruhon pe wajd tari hai
(5245) Peoples Rate This