Dusra Janm
udasi ghani aur gahri udasi ka saya
shagufon ki sargoshiyan
chand chehron ke KHake
nigahon ke mauhum se daeron mein koi ajnabi be-zaban raushni
ye na farda na maujud
ye munqalib ho raha hai jo lamha
agar ye amal hai to sirf amal hai
lab-e-ju-e-mai KHamushi
aur said-e-fughan koi harf-e-takallum
kahin rahguzar par mere chashm-o-lab
aur aawaz se raushni ki kashakash
bahut fasla hai mere aur mere tasawwur ke sahil mein
us se pare ek jahan-e-digar hai
lab-e-ju-e-mai gharq-e-afaq hun
dusri bar shayad janm le raha hun
(11632) Peoples Rate This