Dur Ka Safar
main nan-e-soKHta ka zaiqa
utarta hun
roz-o-shab
zaban par
ki us ki hamdami mein
dosti mein
umr ke nasheb mein
agar main Dhal sakun
to fasl aaftab ka
wo barg-e-zard ban sakun
jo daere ki intiha pe sirf
mausamon ke KHwab dekhta hun
subh-o-sham sochta hun
aarzu
fareb-kar shahida
kahan mili thi aur kaun se hasin moD tak
chalegi mere sath mere sath
ju-e-ab ju-e-mai
rida-e-KHak
dur ke safar ke log
bad-guman saaton ke shahr
main chalunga
main dasht-o-kohsar ki
udas hijraton ko
nannhi-munni loriyan sunaunga
main jangalon ki
sansanahaTon ke par jaunga
(2323) Peoples Rate This